Ruhani amal aur parhez
Koi bhi ba-mokel amal ho ya mokel ki taskheer ka ho ya jinnat ki taskheer ka ho ya hazirat ka ho ya kisi aur arwah ka ho parhez behad zaroori hai. Badparhezi se na kewal amal kamzor hota hai,amal me nuqs paida hota hai balke amal me kamyabi bhi nahi milta aur amil raja ka shikar hota hai so alag.
Parhez Kyun
Mokel noor se bane hai aur insan mitti se yani mokel noori hai aur insaan khaki fir wo insan se kaise manoos ho sakta hai, wo insan ka kam kyun krega. Hamari zindagi gunaho se aaluda hai fir hamre zuban me asar kaise aayega. Kalam-e ilahi me beshak bahot asar hai lekin hamre zuban me nhi hai. Sahaba Ikram Surah Fatiha padh ke dam kar dete the to badi se badi bimari theek ho jati thi yahan tak ke saanp ka zahar khatam ho jata tha aur insan ki jan bach jati thi lekin aaj agar ham din bhar surah fatiha padhe to bhi hamari theek ho jaye iski guarantee nhi waise to Allah bahot bada hai wo theek bhi kar sakta hai lekin ham ye nhi kah sakte ki theek ho hi jayega. kyun? kyunki hamare aamal waise nhi hai. Ham gunah me dube huwe hai. Hamri zuban me asar nhi hai. Kalame ilahi me beshak bahot asar hai. Aj bhi sura fatiha wahi hai jo sahaba ke zamane me tha aur qayamat tak yahi rahega farq sirf aamal ka hai. Hamare andar nuraniyat nhi hai. Isliye mokel hamada kam nhi karte kyunki wo noori hai.
Apne andar isi nooraniyat ko paida karne ke liye hame parhez karna padta hai. Roohani amal me 3 qism ke parhez hote hai.
Comments
Post a Comment